Khwabon ke raste me
Khidkiyon se jhankne ki ikcha hai meri
Door dikh rhi manzil ko pane ki ikcha hai meri
Kadam kadam pr jin rahon par meri khushiyan baithi hai
Un khushiyon se khelne ki ikcha hai meri….
Khwabon ke raste me intezar to hota hai…
Kabhi koi hasta hai to kabhi koi rota h…..
Kuch kehna h kuch sunna hai par waqt beet rha hai,,,
Har beet jane wala pal meri aor dekhkr cheekh rha hai ….
Baatein jo bs nikli
thi wo ab mjhe dekhti hai…
Ki th jo ummedein
wo mjse aanch sekti hain….
Khwabon ke raste me intezar to hota hai…
Kabhi koi hasta hai to kabhi koi rota h…..
Aate hue jo socha tha sbka wajood badal rha hai…
Chadha hua suraj dekho aaj dhal rha hai….
Is doobte hue suraj
ko mehsus kr sakta hu …
Abhi bhi hai samay
doobte hue ko bhi mehfooz kr skta hu …
Khwabon ke raste me intezar to hota hai…
Kabhi koi hasta hai to kabhi koi rota h…..
…
Kuch kehna baki hai kuch karna baki hai…
Abhi khtm kaha hui cheezein thoda ladna baki hai…
Har scchai ab jung si hai ladna to mjhe khud hai…
Kar dunga jo socha tha wo h zidd hai ….
Darwaze bhi to khud se h kholne hote hain…
Khidkiyon k paar k sapne zindgi me b gholne hote hai…
No comments:
Post a Comment