Khawabon ke parinde
Khwabon ke
parinde ko udne do….
Jate hue
nadi ke pani ko mudne do….
Soti hui
chahat b muskra uthti hai
Jb ummed ko
koi roshni milti hai…
Akash bhi
tera hai aur ye zammen bhi teri hai….
Kar ke to
dekh koi kaam marzi ka wo jeet bhi teri hai….
Khwabon ke
parinde ko udne do….
Jate hue
nadi ke pani ko mudne do….
haar rha h
na lekin wo to bahut choti si hai…
baar baaar
yhi bol rha hai na ki kismt bahut khoti si hai…
badal jate
hai raste jab uski chahat hoti hai..
har mushkil
kaam ke baad hi rahat hoti hai…
Khwabon ke
parinde ko udne do….
Jate hue
nadi ke pani ko mudne do….
mushkil
samay ko uski marzi maan..
krdega ye
akhri kaam ye bhi le thaan …
khud se
ladne ka mauka nikal…
rukna n jb
tk ho na jae akhri sawal…
har kaam ka
rasta hota hai….
pabandiya to
us machli ko bhi hoti h….
par chli
jati hai samandar kisi bhi kone me …
kunki ladne
ki takat se jeene ki ikcha chupi hoti hai….
Khwabon ke
parinde ko udne do….
Jate hue
nadi ke pani ko mudne do….
No comments:
Post a Comment