Sunday, May 8, 2016

College ke aakhri pal


Bahut khoobsurat  si is  duniya ko mai ab chor ke jaa rha hu..
Bandh gae the kuch dil k taar unhe tod ke jaa rha hu…
Pata  tha mjhe  pehle din se hi ki sb choot jaega…
Kuch andaza hi  nahi hai  ki kon kitna yaad aayega…
Logon ka kehna acha lgta tha …logon ka tokna acha lgta tha…
Saath rhte the sab log aur mere galat kaam krne pr unka rokna acha lgta th…
Pehli sham yaha bahut ghabrai hui si thi….
Meri puri duniya thartharai hui si thi…
Nae chahre the nai musibat thi sab apne apne me thehre the…
Kya pta tha ki zndgi ki sbse haseen pehre the….


 Bahut khobsorat  si is  duniya ko mai ab chor ke jaa rha hu..
Bandh gae the kuch dil k taar unhe tod ke jaa rha hu…
khushiyon ke mithas me mai ghulta chla gya….
yaha rehne se  apne h tareekon se mudta chla gya….
Dusre saal me  is baar jinse mila wo mere h layak the…
Kuch bhi krte the kuch bhi kehte the sab apne aap me hi nayak the….
Khwaishein to kbhi adhuri rhi hi nai…
Inke sath rha hamesha kbhi doori rhi nahi….

Bahut khobsorat  si is  duniya ko mai ab chor ke jaa rha hu..
Bandh gae the kuch dil k taar unhe tod ke jaa rha hu…
Is choti si duniya me jab aaya tb mai us mod pr tha..
Jaha insan ya to bigadta hai ya sudhar jata hai…
 Kaiyon ko sudharte dekha koaiyon ko bigadte dekha…
Pyar krte the log aur kaiyon ko jhagadte dekha ….
Itne sare rangon k beech khud ko dhal dia tha….
Sbse dil lga lia aur upr wale pr taal dia tha…
Jane ab kaise in ansuon ko rok paunga mai…
Kaise bina baat ke tok paunga mai…
Bina un yaaron k to birthday  bhi feeki rahegi …
Bhale h laat khate the par khushiyan meethii rhi hain…

Bahut khobsorat  si is  duniya ko mai ab chor ke jaa rha hu..
Bandh gae the kuch dil k taar unhe tod ke jaa rha hu…
Safar ko rukna to hota hai ..asaman ko jhukna to hota hai..
Itne ache ku hote hain ye kuch log jab akhri me dukhna hota hai……. :’(


5 comments: