Saturday, June 11, 2016

                Zindgi 

Raaaton ke andheron me kuch palta hai ..
Bahut kuch khota hai aur thoda hi milta hai..
Chahte to hum ky kuch nahi Hai is zndgi se..
Magar pata hai na kamal keechad me hi khilta hai..

Khwabon ke tootne se har koi pareshan hai ..
Par bina khwab ke ye Jeevan sunsaan hai..
Laut aaata hai wo mahol khushiyon ka .
Jb koi khada hokr ladta hai apne aaap se..

Ye duniya ye log jo aaj sunate hai..
Yhi log tmhre kaayal ho jaenge,,
Bs badte rho apne bane raste pr…
 khud apne aap ghayal ho jaenge..

khud ki soch aur mehnat hi kaam aati hai ,,
baatein to bs insaan ko rulati hai..
jo karna hai khulkr kro..
kuch hasil zroor krna jb tk tm maro..
ye zndgi hi thi jiska bdo ne istemal kia koi kohli to koi Tendulkar bn gaya ,,’

tm bhi bs ek samay lekr aae ho ,
kuch bn jao aur khud k taraf kuch samman badao.
Zndgi me bahut chhezein aaengi aur jaengi,,
Pr khud ka nazariya khud k lie kbhi na badla h na h bdlega ,,
Mai bol rha krlo sb thk apne lie ,,

Sab hasi Mazak hai is duniya me wo  reh jaega bs insan aur khud k lie uska nzariya reh jaega