Saturday, November 28, 2015

Aakash ka khulapan


               
 Akaash ka khulapan





Aakash ka khulapan use ky khoob chalata hai..
chalte chalte use sagar se milata hai....
ummeed se kai upar tha sagar ke lie uska khyal...
jb door tha sagar bs paas tha uske paas ek hi sawal..
mil jaega wo ek din apne us door cheez se...
agar yuhi chalta rha wo is raftar se....

Aakash ka khulapan use ky khoob chalata hai..
chalte chalte use sagar se milata hai....
aakash k taraf dekho to sirf wo h dikhta hai...
aur uski nazron me tm sirf ek kankad ho ...
khet ho chahe khaliyan sab jeete hain usko dekhkar...
aur wo rkhta h sbka khyal amrat barsakar....

Aakash ka khulapan use ky khoob chalata hai..
chalte chalte use sagar se milata hai....
gussa usko bhi aata hai....
hamara chehra laal aur uska chehra kaala ho jata hai..
par dekho khasiyat uski gusse ke baad jb rota hai...
khud aansoo bankar girata hai aur hume barish dikhakr hasata hai....


Aakash ka khulapan use ky khoob chalata hai..
chalte chalte use sagar se milata hai....
pair ke neeche aajate h hamare chote kankad kuchal dete hai hum..
use dekho kankad to hum bhi hain magr kitna khyal rkhta h humara...
kitni sari dharti k lie bhgwan h aur kisaano k  lie sahara....


sote hum bhi hain sota wo bhi hai...
taron ka chadar h aur takiya chand ki..
nazrein humpar hain aur yaad apne yaar ki...
Aakash ka khulapan use ky khoob chalata hai..
chalte chalte use sagar se milata hai....



No comments:

Post a Comment