Monday, November 30, 2015



                                       Khwabon ke raste me



Khidkiyon se jhankne ki ikcha hai meri
Door dikh rhi manzil ko pane ki ikcha hai meri
Kadam kadam pr jin rahon par meri khushiyan baithi hai
Un khushiyon se khelne ki ikcha hai meri….
Khwabon ke raste me intezar to hota hai…
Kabhi koi hasta hai to kabhi koi rota h…..


Kuch kehna h kuch sunna hai par waqt beet rha hai,,,
Har beet jane wala pal meri  aor dekhkr cheekh rha hai ….
Baatein jo  bs nikli thi wo ab mjhe  dekhti  hai…
Ki th jo ummedein  wo  mjse aanch sekti hain….
Khwabon ke raste me intezar to hota hai…
Kabhi koi hasta hai to kabhi koi rota h…..

Aate hue jo socha tha sbka wajood badal rha hai…
Chadha hua suraj dekho aaj dhal rha hai….
Is doobte hue  suraj ko mehsus kr sakta hu …
 Abhi bhi hai samay doobte hue ko bhi mehfooz kr skta hu …
Khwabon ke raste me intezar to hota hai…
Kabhi koi hasta hai to kabhi koi rota h…..


Kuch kehna baki hai kuch karna baki hai…
Abhi khtm kaha hui cheezein thoda ladna baki hai…
Har scchai ab jung si hai ladna to mjhe khud hai…
Kar dunga jo socha tha wo h zidd hai ….
Darwaze bhi to khud se h kholne hote hain…
Khidkiyon k paar k sapne zindgi me b gholne hote hai…


No comments:

Post a Comment