Wednesday, January 13, 2016

              Khawabon ke parinde


Khwabon ke parinde ko udne do….
Jate hue nadi ke pani ko mudne do….
Soti hui chahat b muskra uthti hai
Jb ummed ko koi roshni milti hai…
Akash bhi tera hai aur ye  zammen bhi teri hai….
Kar ke to dekh koi kaam marzi ka wo jeet  bhi  teri hai….

Khwabon ke parinde ko udne do….
Jate hue nadi ke pani ko mudne do….
haar rha h na lekin wo to bahut choti si hai…
baar baaar yhi bol rha hai na ki kismt bahut khoti si hai…
badal jate hai raste jab uski chahat hoti hai..
har mushkil kaam ke baad hi rahat hoti hai…



Khwabon ke parinde ko udne do….
Jate hue nadi ke pani ko mudne do….
mushkil samay ko uski marzi maan..
krdega ye akhri kaam ye bhi le  thaan …
khud se ladne ka mauka nikal…
rukna n jb tk ho na jae akhri sawal…
har kaam ka rasta hota hai….
pabandiya to us machli ko bhi hoti h….
par chli jati hai samandar kisi bhi kone me …
kunki ladne ki takat se jeene ki ikcha chupi hoti hai….

Khwabon ke parinde ko udne do….
Jate hue nadi ke pani ko mudne do….





No comments:

Post a Comment